下載 APKPure App
可在安卓獲取Maal o Daulat Ka Waeefa的歷史版本
阿米爾Bannay嘉Wazifa主要烏爾都語
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Paas Kuch Sahaba-e-Kiram (Razi’Allahu Anhu) Aatey Hai Jo Gareeb They, Rasool’Allah Se Arz Karte Hai –
Ya Rasool’Allah ! Yeh Maaldaar Log (Sahaba-e-Kiram) Namaz Padhtey Hai, Roza Rakhtey Hai, Hajj Karte Hai, Zakaat Detey Hai, Tamaam Kaam Karte Hai, Uskey Bawajud Allah Ki Raah Me Maal Kharch Karke Nekiyon Me Humse Aagey Nikal Jaate Hai..
Aap Hume Koi Aisa Amal(Solution) De Dijiye Ta’aki Hum Bhi Nekiyo Me Inkey Barabar Aa Jaye..
Rasool’Allah Ne Farmaya – “Har Namaz Ke Baad 33 Martaba Tasbeeh (Subhanallah) Aur Tamheed (Alhamdulillah) Aur Takbeer (Allahu Akbar) Aur Aakhir Me Kaho ‘La Ilaha Illa Wahdahu La Sharika Lahu, Lahul Mulku Wa Lahul Hamdu, Wa Huwa Ala Kulli Sha’in Qadir’
Tum Bhi Nekiyon Me Inkey Barabar Aa Jaoge.”
Gareeb Sahaba Khush Hue.. Ke Ab Hum Bhi Nekiyon Me Ameer Sahaba Ke Barabar Ho Jayenge.
Masjid Me Pohche, Aur Namaz Ke Baad Tehtees-Tehtees Martaba Tasbeeh, Tamheed Aur Takbeer Padhney Lage ..
Yeh Amal Dekhkar Ameer Sahabiyon Ko Ta’ajub Hua Aur Ek Ne Unsey Sawal Kiya Ke Ye Kaisa Amal Hai??
Ab Gareeb Sahaba Chupa Bhi Nahi Sakte They.. Unhone Kaha Ke – ‘Hum Tumhari Shikayat Lekar Gaye They Rasool’Allah Ke Paas.. Ke Tum Maal Ki Vajah Se Nekion Me Humse Aagey Nikal Jatey Ho, Hum Bhi Nekiyo Me Tumhare Barabar Aana Chahte They Lihaja Rasool’Allah Ne Hume Yeh Falah Falah Tasbih De Di …
Unn Ameer Sahabiyon Ne Kaha – ‘Acha Thik Hai’
Ab Agli Namaz Me Sabhi Moujud Hai.. Ab Namaz Ke Baad Gareeb Bhi Tasbeeh Padh Rahe Hai Aur Ameer Bhi ..
Wo Fauran Rasool’Allah Ke Paas Pohche Aur Arz Kiya ,, ‘Ya Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Jo Amal Aapne Hume Diya Tha Wo Unhone Ne Bhi Shuru Kar Diya’..
Rasool’Allah Ne Farmaya … “Zalika Fazlullahi Yuti Hi Mayyashaha” (Yeh Allah Ka Fazl Hai Maal-O-Daulat Wo Jise Chahta Hai Ata Karta Hai)..
Please pray for us .
For comments
Thanks
Last updated on 2016年04月27日
Minor bug fixes and improvements. Install or update to the newest version to check it out!
Maal o Daulat Ka Waeefa
1 by MixiApps
2016年04月27日